Friday, June 5, 2009

ZINDAGI MEIN SAU DARDABHI BAAKI HAIN.....

ZINDAGI MEIN SAU DARD….

Zindgi mein sau dard abhi baaki hain…..
Ghum to ye hai ki dard dene vaala hi saathi hai…
Ik din zaroor main dard sehna seekh lunga….
Haan us din se tanha rehna bhi seekh lunga….
Kyunki gaur se suniye to tanhaayiyaan bhi kuch kehti hain…
Sadkon pe banti huyi yeb parchaayiyaan bhiu kuch kehti hai,…..
Dard se raaton nahi soya hun aankh ke neeche ki ye jhaayiyaaan bhi kuch kehti hai….
Gaur se suniye to tanhaayiyaan bhi kuch kehti hain…


Ye ghar bhi kabhi chehekta tha…
Sau khushbuon se mehekta tha..
Par ab ye ghar nahi makaan hai…
Ab yahaan zindagi nahi maut asaan hai..
Ab ye ghar logon se veeran hai…
Kyunki gaur se suniye to ye kayiyaan hbhi kuch kehti hai…
Dil ke dard mein chipi ye tanhayiyaan bhi kuch kehti hai…
Gaur se suniyee to ye veeraniyaan bhi kuch kehti hai..
Gaur se suniye to tanhaayiyaan bhi kuch kehti hain…

Intezaar tha mujhe tumse milne ka…
Intezaar bas us kivaad ke hilne ka…
Betaabi kaa aalam ab saha nahi jaata ..
Mujhse ab tujh bin raha nahi jaaata….
Kehna hai bhaut kuch par kaha nahi jaata….
Gaur se suniye to ye khamoshiyaaan bhi kuch kehti hain..
Khamoshi bhari ye betaabiyaan bhi kuch kehti hain…
Betaabi bhari ye angdaayiyaan bhi kuch kehti hain…
Gaur se suniye to tanhaayiyaan bhi kuch kehti hain…


Gaur se suniye to tanhaayiyaan bhi kuch kehti hain…
Gaur se suniye to tanhaayiyaan bhi kuch kehti hain…
Gaur se suniye to tanhaayiyaan bhi kuch kehti hain…

4 comments:

  1. yeh kuch zami nahi...Oops!!!!

    ReplyDelete
  2. par utni buri bhi nahi hai!!!!

    ReplyDelete
  3. try to be positive mate........rest is really fantastic

    ReplyDelete
  4. very beautiful piece..your sorrow gives you strength to write....its strange how sad poems are always the most beautiful ones...

    ReplyDelete