Monday, June 29, 2009

टूटता है...










आदमी ही नही...................................
टूटता है
मौन
भी........

Friday, June 19, 2009

YAAD AA RAHI HAI....


Aaj tu mujhe bahut yaad aa rahi hai...
Kalam ki shyahi yu zaaya nahi jaa rahi hai...
Ki tere naam ko likhte hue ye bhi muskura rahi hai...
Tere naam me na jaane ye kaisi kashish hai..
Jo mere dil pe aaj bhi tere pyaar ki tapish hai....
Yaad teri kyu mujhe aati hai……???
Ye kambhakht bhi mujhe tadpaati hai….

CHUMA HAI...


Na jaane kab se us shaam ka intezaar hai…
Us ahaath ko chum lu jise mera aetaram hai…
Haan par maine jin haathon ko chuma hai….
Unhi hathon ke sang ne sar ko chuma hai..
Aalam ye hai ki dard ko aansuon mein chipaye hain…
Aansuon mein jhalakti uski tasveer ko chuma hai…
Kun baha par gham nahi hai kuch bhi mujhko….
Kyunki gham ko bhi inhi labon se chuma hai…
Dil se behte khoon ko rang na samjho….
Ki is behte lahoo ne bhi un kadmo ko chuma hai….
Patthar jo uchala tha falak chumne ko….
Ful banke sang* ne sar ko chuma hai….



*SANG- PATTHAR

Thursday, June 18, 2009

DEEWAAREIN BOLTI HAIN...

Deewarein ….
Haan kuch kehti hai ….
Ukhda plaster…
Us par astar…
Lagta khandhar..
Hai ab ye ghar…

Haan phir bhi kuch kehti hai…
Ajeeb parchayi..
Ghar ki ladayi…
Meri padhai …
Apni parayi…
Kitni sacchayi..

Aawaaz hai inme…
Sun ne ko kaan chahiye…
Kyunki…
Deewaaron
Ke sirf kaan nahi hote…
Deewaarein bolti bhi hai….
Shabd nahi hain inpe …
Phir bhi kayi raaz kholti hai…
Kyunki…
Haan ye bolti hai…
Sunne ko bas kaan chahiye…
Khadi hui hain ye…
Ab inhe bhi aaram chahiye…
Kyunki haan dewareon ke sirf kaan anhi hote…
Haan ye
Deewaarein….
Bolti hain….

THIKANA DHOONDHTA HUN...















Andhera hai…
Phir bhi ujala dhoondhta hun

Roshni ke liye …
Ek diyala dhoondhta hun

Sab kuch kho gaya hai ….
Khud mein khud ko dhoondhta hun

Bikhar gaya hun…
Phir bhi main yu joojhta hun

Maun hun mai ….
Kyu kavita se main bolta hun

Bhatak gaya hun ….
Main thikana dhoondhta hun

Ghar kai badle …
Ik naya ab aashiyana dhoondhta hun

Pyaas hai mujhme…
Ik naya main piyaala dhoondhta hun

Maun hun phir bhi…
Kyu kavita se main bolta hun

Bhatak gaya hun….
Ik naya main thikana dhoondhta hun

Thursday, June 11, 2009

एक नशा है याद तुम्हारी (inspired from my mentor guide .. yash kaka)














और किसी नशे की ज़रूरत ही नही ...
अजब नशा है याद तुम्हारी...

प्यासी रूह को करार ही सही ...
अजब सी प्यास है याद तुम्हारी.....

हर आहट में भी तुमको ढूँढूं ...
अजब सी वो है बात तुम्हारी ....

और किसी नशे की ज़रूरत नही ...
अजब नशा है याद तुम्हारी...

Tuesday, June 9, 2009

KI PUCHO TUM AGAR

KI PUCHO TUM AGAR….??




Tere dar pe padi meri us laash se pucho…
Sisakti ruh ki tadapti awaaz se pucho…..
Aawaaz mein dabe us ahsaasa se pucho….
Mere khoon se likhe tere naaam se pucho….


Naam mein chipe mere jazbaat se pucho…
Jazbaaton se ghiri meri pyaas se pucho..
Tadpte dil ki hare k saaans se pucho…
Har ek saans mein ghuli us pyaas se pucho….


Ki pucho tum agar…
Paogi ye magar…
Main pahucha har gali…
Main pahucha har dagar…


Gali meihn baithi us naani se pucho…
Naani ki hare k kahaani se pucho…
Aankhon se behte is paani se pucho…
Pyaar ki meri is ravaani se pucho…
Teri yaad mein dhalti meri jawaani se pucho….




Ki pucho tum agar…
Paogi ye magar…
Main pahucha har shahar…
Ki ho shaamo.. sahar…


Ki shahar mein faili chahak se pucho..
Har chahak mein ghuli is mahak se pucho…
Mahak se badhati meri bahak se pucho…
Terei yaad mein badhti is dahak se pucho…



Ki pucho tum agar….
Paogi ye magar….

Ki pahucha main tere dar tak….
Deta hun aaj tak dastak….
Ki sunti tum agar…
Paati ye magar….


Ki hare k khatkhatahat mein…
Tera hi naam bajta hai….
Tabhi to meri mazaaron pe….
Aaj bhi mela sa sajta hai….


Ki pucho tum agar……..
Ki pucho tum agar……….
Ki pucho tum agar………….
Ki pucho tum agar……………..

Friday, June 5, 2009

MOTI HAIN YE INHE ZAAYA NA KARO.....














MOTI HAIN YEH….

In aansuon ko yu hi laaya na karo..
Aakhon mein inhein yu hi laaya na karo…
Fazul mein inhein bahaaya na karo
Aansu nahi ye moti hain inhein zaaya na karo …
Rishte agar banaye hain to inhein nibhaaya bhi karo…
Kabhi hamko bhi log yaad karte the…
Har ik lamhein mein bhi hamein hi bharte the…
Par ab haemin sabne bhula sa dia hai….
Gahari neend mein kahin sula sa dia hai…
Aankhon se ye aansu yu hi nikal aate hai..
Dil ke darakhton ke dard yu hi pighal jaate hai…

Kabhi ye aa jaate the mummy ki daant pe…
Kabhi ye aa jaate the aankhon mein thaath se…
Ye kabhi aate the babul ke pyaar mein…
Kabhi ye nikalte the pyaar bhari takraar mein…
Par inhein bacha ke rakho inhein yu hi laaya na karo…
Moti hain ye inhein zaaya na karo …

Kabhi aa jaate the papa ke guzarne par…
Kabhi yu hi nikal jaate the dil ke bikharne par…
Iske balbute to hi hum duniya ko nachate the…
Par inhein bacha ke rakho inhein yu hi laaya na karo…
Moti hain ye inhein zaaya na karo …


Kabhi ye khushi se bad hawaas ho ke nikal aate the …
Kabhi khilone ke tutne pe niraash ho ke nikal aate the..
Ye nikalte hain jab papa ghar se jaate hain…
Nikalte hain ye jab beimaani se match harwaate hain…
Par inhein bacha ke rakho inhein yu hi laaya na karo…
Moti hain ye inhein zaaya na karo …


Accha hai dost ki tum ab bhi rote ho…
Jeewan ki neenv ko tum hi to bote ho ….
Nahi ab to logon ne rona chod dia hai..
Lagta hai jaise apno ko khona chod dia hai…
Haan kabhi kabhi inhein aankhon mein laaya bhi karo…
Moti hain ye inhein zaaya na karo …

PYAARI SAKHI TUM...












PYAARI SAKHI॥


Pehli baaar jab maine use dekha…
Dekhte hi voh mujhe apni si lagi..
“Pyaar” ?? na pyaar nahi hai ye..
Ye to bas hai ek challava..
Par!! Haan haan pyaar to hua hai mujhe..

Usne mujhe chalna sikhaya…
Aage sabke mujhe badhana sikhaya..
Kabhi bhi na jhukna sikhaya…
Har kaam ko man se klarna sikhaya..

Pyari hai vo..
Jag se nyari hai vo..
Meri.. haan meri….
Pyari sakhi..


Vo hi hai…
Vo mere saath hamesha hai..
Dene ko pyaar hamesha hai..
Kabhikabhi to dar lagta hai..
Kya?? Vo mere saath hamesha hai..??
Fir man hi mera uttar deta ..
Haan vo degi saath mera..

Pyari hai vo..
Jag se nyari hai vo..
Meri.. haan meri….
Pyari sakhi..

Anaayas ik din achanak…
Kaali raat ko..

Haath mein the pyaare haath vo..
‘Bade dhairya se sunna” kaha usne..
Nahi karma aaj se baat mujhse..
Dil ik baar ko ruk gaya…
Aasmaan zameen tak jhuk gaya…
Laga ki jeewan ka sara sukh gaya…

Par aaj bhi man mera kehta hai…..
Ki ek din lautegi vah…
Aur kahegi..
Haan dungi saath tera…
Teri pyari…
Sakhi….

आईना ...

आईना...

मेरा आईना भी मुझसे कुछ कहता है…
हर दर्द को चुचाप रह के सहता है..
आंसुओं में छिपी सच्चाई में बहता है….
मेरे दिल का सच यही तो कहता है…
मुझे सूरत ही नही सीरत भी वही देता है…
फ़िर भी मेरे दिल के करीब वो ही तो रहता है…मेरा आईना भी मुझसे कुछ कहता है…

ZINDAGI MEIN SAU DARDABHI BAAKI HAIN.....

ZINDAGI MEIN SAU DARD….

Zindgi mein sau dard abhi baaki hain…..
Ghum to ye hai ki dard dene vaala hi saathi hai…
Ik din zaroor main dard sehna seekh lunga….
Haan us din se tanha rehna bhi seekh lunga….
Kyunki gaur se suniye to tanhaayiyaan bhi kuch kehti hain…
Sadkon pe banti huyi yeb parchaayiyaan bhiu kuch kehti hai,…..
Dard se raaton nahi soya hun aankh ke neeche ki ye jhaayiyaaan bhi kuch kehti hai….
Gaur se suniye to tanhaayiyaan bhi kuch kehti hain…


Ye ghar bhi kabhi chehekta tha…
Sau khushbuon se mehekta tha..
Par ab ye ghar nahi makaan hai…
Ab yahaan zindagi nahi maut asaan hai..
Ab ye ghar logon se veeran hai…
Kyunki gaur se suniye to ye kayiyaan hbhi kuch kehti hai…
Dil ke dard mein chipi ye tanhayiyaan bhi kuch kehti hai…
Gaur se suniyee to ye veeraniyaan bhi kuch kehti hai..
Gaur se suniye to tanhaayiyaan bhi kuch kehti hain…

Intezaar tha mujhe tumse milne ka…
Intezaar bas us kivaad ke hilne ka…
Betaabi kaa aalam ab saha nahi jaata ..
Mujhse ab tujh bin raha nahi jaaata….
Kehna hai bhaut kuch par kaha nahi jaata….
Gaur se suniye to ye khamoshiyaaan bhi kuch kehti hain..
Khamoshi bhari ye betaabiyaan bhi kuch kehti hain…
Betaabi bhari ye angdaayiyaan bhi kuch kehti hain…
Gaur se suniye to tanhaayiyaan bhi kuch kehti hain…


Gaur se suniye to tanhaayiyaan bhi kuch kehti hain…
Gaur se suniye to tanhaayiyaan bhi kuch kehti hain…
Gaur se suniye to tanhaayiyaan bhi kuch kehti hain…

DARKYU LAGTA HAI DAR

DAR KYU LAGTA HAI DAR….

Us paar jab main dekhta hun…
Dekhta hun jeevan ki talhati…
Us or jab main dekhta hun…
Dekhta hun jeeevan ki talhati…
Par kho jaane ka hai dar…
Dar.,…. Kyu lagta hai … dar…????


Kyu lagta hai dar….???
Na koi manzil na koi ghar…
Pahuchega har koi vahi….
Mat baiuthe rehna tum yahi….
Ki mujhe lagta hai dar….

Dar haarne ka…
Dar khone ka…
Khone per rone ka…
Kuch anhoni hone ka…


Par !!!!!

Dar hai kis baat ka…
Haaroge nahi to jeet hai feeki…
Wah to hai maatra mithya sarikhi./..
Jab kuch laaye nahi to fir khone ka kya dar…
Khoya hi nahi to fir rone ka kya dar…
Jao jao aur manao apne man ko…
Aao aur harao apne dark ko ….

Kyunki…

Dar dar dar…. Dar hai kis baat ka
Dar hai kis baat ka….
Dar hai kis baat ka….