Monday, July 20, 2009

JAANEKITNO SE YE BAATKEHTA HUN

Tere dil ke darakhton mein main hi to rehta hun..

Jaane kitno se ye baat main bhi to kehta hun..

Tere labzon ke in khaton mein bhi rehta hun …

Jaane kitno se ye baat main hi to kehta hun…

Aati bearish ki rimjhim fuhaaron mein rehta hun…

Un tamanna ke uthte bhawaron mein bhi rehta hun..

Jaane kitno se ye baat main hi to kehta hun…

Tere aane ki aahat ke kisson mein rehta hun …

Tere pyaare dupatte ki silvat mein rehta hun..

Teri pyaasi in aankhon ki thirkan mein rehta hun..

Teri sahmi hui us hasi mein bhi rehta hun..

Jaane kitno se ye baat main hi to kehta hun…

Tere ishq un tadapte ahsaason meinrehta hun …

Teri bikhre se baalon ki uljhan mein rehta hun…

Teri pyari si un mulaakaaton mein rehta hun…

Jaane kitno se ye baat main hi to kehta hun…

Haan mohabbat main tujhi se karta hun…

Aa ab aa bhi jaa ab tu to aa hi jaa..

Main in lamhon se ye baa tab kehta hun..

Jaane kitno se ye baat kehta hun…

(Train journey mein likhi thi )

2 comments:

  1. the flow of the poem is very smooth...you have a brilliant hold over the words...so overall a nice piece

    ReplyDelete
  2. thankyou...yyour precious comments...help me a llot in improving

    ReplyDelete