Thursday, June 18, 2009

THIKANA DHOONDHTA HUN...















Andhera hai…
Phir bhi ujala dhoondhta hun

Roshni ke liye …
Ek diyala dhoondhta hun

Sab kuch kho gaya hai ….
Khud mein khud ko dhoondhta hun

Bikhar gaya hun…
Phir bhi main yu joojhta hun

Maun hun mai ….
Kyu kavita se main bolta hun

Bhatak gaya hun ….
Main thikana dhoondhta hun

Ghar kai badle …
Ik naya ab aashiyana dhoondhta hun

Pyaas hai mujhme…
Ik naya main piyaala dhoondhta hun

Maun hun phir bhi…
Kyu kavita se main bolta hun

Bhatak gaya hun….
Ik naya main thikana dhoondhta hun

2 comments:

  1. is talash ko khatam karo, dil ki baat ko zuban pe rakho, kahin phir der na ho jaaye

    ReplyDelete
  2. thanks bahi ... waitin 4 the rite tym

    ReplyDelete